Humare shauq ki ye intiha thi,
Qadam rakkha ke manzil rassta thi...
Bichhad ke Daar se ban ban phira wo,
Hiran ko apni kastoori saza thi...
Kabhi jo khwab tha wo pa liya hai,
Magar jo kho gayi wo cheez kya thi...
Main bachpan mein khilaune todta tha,
Mere anjaam ki wo ibtida thi...
Mohabbat mar gayi mujh ko bhi ghum hai,
Mere achchhe dinon ki aashna thi...
Jise chhu lun main wo ho jaaye sona,
Tujhe dekha to jaana bad-dua thi...
Mareez-e-khwab ko to ab shifa hai,
Magar duniya badi kadwi dawa thi.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment