Hum ne dhundhen bhi to dhundhen hain sahaare kaise,
In saraabon pe koi umr guzaare kaise...
Haath ko haath nahin soojhe wo tareeki thi,
Aa gaye haath mein kya jaane sitaare kaise...
Har taraf shor usi naam ka hai duniya mein,
Koi us ko jo pukaare to pukaare kaise...
Dil bujha jitne the armaan sabhi khaak hue,
Raakh mein phir ye chamakte hain sharaare kaise...
Na to dam leti hai tu aur na hawa thamti hai,
Zindagi zulf teri koi sanwaare kaise.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment