Ghair ko munh laga ke dekh liya,
Jhooth sach aazma ke dekh liya..
Un ke ghar 'Dagh' ja ke dekh liya,
Dil ke kahne mein aa ke dekh liya..
Kitni farhat-faza thi bu-e-wafa,
Us ne dil ko jala ke dekh liya..
Kabhi ghash mein raha shab-e-waada,
Kabhi gardan utha ke dekh liya..
Jins-e-dil hai ye wo nahin sauda,
Har jagah se manga ke dekh liya..
Log kahte hain chup lagi hai tujhe,
Haal-e-dil bhi suna ke dekh liya..
Jao bhi kya karoge mehr-o-wafa,
Baar-ha aazma ke dekh liya..
Zakhm-e-dil mein nahin hai qatra-e-khoon,
Khoob hum ne dikha ke dekh liya..
Idhar aaina hai udhar dil hai,
Jis ko chaha utha ke dekh liya..
Un ko khalwat-sara mein be-parda,
Saaf maidaan pa ke dekh liya..
Us ne subah-e-shab-e-wisaal mujhe,
Jaate jaate bhi aa ke dekh liya..
Tum ko hai wasl-e-ghair se inkaar,
Aur jo hum ne aa ke dekh liya..
'Dagh' ne khoob aashiqi ka maza,
Jal ke dekha jala ke dekh liya.!
"Dagh Dehlvi"
____________________
غیر کو منہ لگا کے دیکھ لیا
جھوٹ سچ آزما کے دیکھ لیا..
ان کے گھر داغؔ جا کے دیکھ لیا
دل کے کہنے میں آ کے دیکھ لیا..
کتنی فرحت فزا تھی بوئے وفا
اس نے دل کو جلا کے دیکھ لیا..
کبھی غش میں رہا شب وعدہ
کبھی گردن اٹھا کے دیکھ لیا..
جنس دل ہے یہ وہ نہیں سودا
ہر جگہ سے منگا کے دیکھ لیا..
لوگ کہتے ہیں چپ لگی ہے تجھے
حال دل بھی سنا کے دیکھ لیا..
جاؤ بھی کیا کرو گے مہر و وفا
بارہا آزما کے دیکھ لیا..
زخم دل میں نہیں ہے قطرۂ خوں
خوب ہم نے دکھا کے دیکھ لیا..
ادھر آئینہ ہے ادھر دل ہے
جس کو چاہا اٹھا کے دیکھ لیا..
ان کو خلوت سرا میں بے پردہ
صاف میدان پا کے دیکھ لیا..
اس نے صبح شب وصال مجھے
جاتے جاتے بھی آ کے دیکھ لیا..
تم کو ہے وصل غیر سے انکار
اور جو ہم نے آ کے دیکھ لیا..
داغؔ نے خوب عاشقی کا مزا
جل کے دیکھا جلا کے دیکھ لیا..
No comments:
Post a Comment