Dard apnata hai paraye kaun,
Kaun sunta hai aur sunaye kaun..
Kaun dohraye phir wahi baatein,
Ghum abhi soya hai jagaye kaun..
Ab sukoon hai to bhoolne mein hai,
Lekin us shakhs ko bhulaye kaun..
Wo jo apne hain kya wo apne hain,
Kaun dukh jhele aazmaye kaun..
Aaj phir hai kuchh udaas udaas,
Dekhiye aaj yaad aaye kaun.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment