Butaa'n-e-mah-wash ujdi hui manzil mein rahte hain..
Ke jis ki jaan jaati hai usi ke dil mein rahte hain.!
Hazaaron daagh pinhaa'n aashiqon ke dil mein rahte hain..
Sharaar patthar ki surat un ki aab-o-gil mein rahte hain.!
Zameen par paanw nafrat se nahin rakhte pari-paikar..
Ye goya is makaan ki doosri manzil mein rahte hain.!
Mohabbat mein maza hai chhed ka lekin maze ki ho..
Hazaaron lutf har ek shikwa-e-baatil mein rahte hain.!
Khuda rakkhe salamat jin ko un ko maut kab aaye..
Tadapte lot te hum koocha-e-qaatil mein rahte hain.!
Hazaaron hasratein wo hain ke roke se nahin ruktin..
Bahut armaan aise hain ke dil ke dil mein rahte hain.!
Yahaan tak thak gaye hain chalte chalte tere haathon se..
Ke ab chhup chhup ke naawak seena-e-bismil mein rahte hain.!
Na dekhe honge rindon se bhi tu ne paak ai zaahid..
Ke ye be-daagh may-khane ki aab-o-gil mein rahte hain.!
Muheet-e-ishq ki har mauj tufaan-khez aisi hai..
Wo hain girdaab mein jo daaman-e-saahil mein rahte hain.!
Khuda rakkhe mohabbat ne kiye aabaad donon ghar..
Main un ke dil mein rahta hun wo mere dil mein rahte hain.!
Jo hoti khoobsurat to na chhupti qais se laila..
Magar aise hi waise parda-e-mahmil mein rahte hain.!
Humare saaye se bachta hai har ek bazm mein us ki..
Humein dekho ke hum tanha bhari mahfil mein rahte hain.!
Suraagh-e-mehr-o-ulfat ghair ke dil mein na payenge..
Abas wo raat din is saii-e-be-haasil mein rahte hain.!
Buto'n ko mahram-e-asraar tu ne kyun kiya ya rab..
Ke ye kaafir har ek khalwat-sara-e-dil mein rahte hain.!
Falak dushman hua gardish-zado'n ko jab mili raahat..
Zyaada raah se khatke mujhe manzil mein rahte hain.!
Tan-aasaani kahaan taqdeer mein hum dil-girafto'n ki..
Khuda par khoob raushan hai ke jis mushkil mein rahte hain.!!
"Dagh Dehlvi"
_______________
Butaa'n-e-mah-wash = moon-faced idols, beauties,
Pinhaa'n = concealed, hidden,
Sharar = spark , flash, gleam,
Aab-o-gil = the elements from which the Universe is made of,
Water and clay,
Shikwa-e-baatil = false complaint,
Naawak = an arrow,
Seena-e-bismil = chest of the one who is killed,
Muheet-e-ishq = circumference of love,
Girdaab = vortex,
Parda-e-mahmil = veil of palanquin,
Abas = futile, profitless, purposeless,
Saii-e-be-haasil = useless effort,
Mahram-e-asraar = privy to secret, confidante,
Khalwat-sara-e-dil = inn of heart,
____________________
بتان ماہ وش اجڑی ہوئی منزل میں رہتے ہیں
کہ جس کی جان جاتی ہے اسی کے دل میں رہتے ہیں..
ہزاروں داغ پنہاں عاشقوں کے دل میں رہتے ہیں
شرر پتھر کی صورت ان کی آب و گل میں رہتے ہیں..
زمیں پر پاؤں نفرت سے نہیں رکھتے پری پیکر
یہ گویا اس مکاں کی دوسری منزل میں رہتے ہیں..
محبت میں مزا ہے چھیڑ کا لیکن مزے کی ہو
ہزاروں لطف ہر اک شکوۂ باطل میں رہتے ہیں..
خدا رکھے سلامت جن کو ان کو موت کب آئے
تڑپتے لوٹتے ہم کوچۂ قاتل میں رہتے ہیں..
ہزاروں حسرتیں وہ ہیں کہ روکے سے نہیں رکتیں
بہت ارمان ایسے ہیں کہ دل کے دل میں رہتے ہیں..
یہاں تک تھک گئے ہیں چلتے چلتے تیرے ہاتھوں سے
کہ اب چھپ چھپ کے ناوک سینۂ بسمل میں رہتے ہیں..
نہ دیکھے ہوں گے رندوں سے بھی تو نے پاک اے زاہد
کہ یہ بے داغ مے خانے کی آب و گل میں رہتے ہیں..
محیط عشق کی ہر موج طوفاں خیز ایسی ہے
وہ ہیں گرداب میں جو دامن ساحل میں رہتے ہیں..
خدا رکھے محبت نے کیے آباد دونوں گھر
میں ان کے دل میں رہتا ہوں وہ میرے دل میں رہتے ہیں..
جو ہوتی خوبصورت تو نہ چھپتی قیس سے لیلیٰ
مگر ایسے ہی ویسے پردۂ محمل میں رہتے ہیں..
ہمارے سائے سے بچتا ہے ہر اک بزم میں اس کی
ہمیں دیکھو کہ ہم تنہا بھری محفل میں رہتے ہیں..
سراغ مہر و الفت غیر کے دل میں نہ پائیں گے
عبث وہ رات دن اس سعی بے حاصل میں رہتے ہیں..
بتوں کو محرم اسرار تو نے کیوں کیا یا رب
کہ یہ کافر ہر اک خلوت سرائے دل میں رہتے ہیں..
فلک دشمن ہوا گردش زدوں کو جب ملی راحت
زیادہ راہ سے کھٹکے مجھے منزل میں رہتے ہیں..
تن آسانی کہاں تقدیر میں ہم دل گرفتوں کی
خدا پر خوب روشن ہے کہ جس مشکل میں رہتے ہیں..
No comments:
Post a Comment