Thursday, July 5, 2018

Apne Ahsaanon Ka Neela Sayebaan Rahne Diya

Apne ahsaanon ka neela sayebaan rahne diya,
Chheen li chhat aur sar par aasmaan rahne diya...

Aaj us ki be-zabaani ne mujhe samjha diya,
Kis liye fitrat ne gul ko be-zabaan rahne diya...

Zindagi to kya asasa tak nahin baaqi bacha,
Qaatilon ne ab ke bas khaali makaan rahne diya...

Khauf-e-ruswaai se main ne khat jala daala magar,
Jaane kyun us chaand se lab ka nishaan rahne diya...

Dosti ko apni majboori nahin samjha kabhi,
Faasla main ne baraabar darmiyan rahne diya...

Be-gunaahi ki safaai de bhi sakta tha magar,
Kuchh samajh kar main ne us ko bad-gumaan rahne diya..

Aag ke baazigaron ne ab ke khel aisa khela,
Shahr ki taqdeer mein khaali dhuan rahne diya...

Kya siyasi chaal hai ye zaaliman-e-waqt ki,
Le liya sab kuchh magar ek khauf-e-jaan rahne diya...

Chaunk chaunk uthta hun main raaton ko 'Ibrat' khauf se,
Khwab us ne meri aankhon mein kahaan rahne diya.!!

"Ibrat Machhlishahri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...