Monday, July 16, 2018

Abhi Zameer Mein Thodi Si Jaan Baaqi Hai

Abhi zameer mein thodi si jaan baaqi hai, 
Abhi humara koi imtihaan baaqi hai..

Humare ghar ko to ujde hue zamana hua,
Magar suna hai abhi wo makaan baaqi hai..

Humari un se jo thi guftugu wo khatm hui,
Magar sukoot sa kuchh darmiyaan baaqi hai..

Humare zehn ki basti mein aag aisi lagi,
Ke jo tha khaak hua ek dukaan baaqi hai..

Wo zakhm bhar gaya arsa hua magar ab tak,
Zara sa dard zara sa nishaan baaqi hai..

Zara si baat jo phaili to dastaan bani,
Wo baat khatm hui dastaan baaqi hai..

Ab aaya teer chalane ka fan to kya aaya,
Humare haath mein khaali kamaan baaqi hai.!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...