Abhi se kaise kahun tum ko bewafa saahab..
Abhi to apne safar ki hai ibtida saahab.!
Na jaane kitne laqab de raha hai dil tum ko..
Huzoor, jaan-e-wafa aur hum-nawa saahab.!
Tumhaari yaad mein taare shumaar karti hun..
Na jaane khatm kahaan ho ye silsila saahab.!
Kitaab-e-zeest ka unwaan ban gaye ho tum..
Humare pyar ki dekho ye intiha saahab.!
Tumhaara chehra mere aks se ubharta hai..
Na jaane kaun badalta hai aaina saahab.!
Rah-e-wafa mein zara ahtiyaat laazim hai..
Har ek gaam pe hota hai haadsa saahab.!
Siyah raat hai mahtab ban ke aa jao..
Ye 'indira' ke labo'n par hai iltija saahab.!
"Indira Varma"
No comments:
Post a Comment