Ye bastiyan hain ke maqtal dua kiye jaayen,
Dua ke din hain musalsal dua kiye jaayen..
Koi fughaa'n koi naala koi buka koi bain,
Khulega baab-e-muqaffal dua kiye jaayen..
Ye iztiraab ye lamba safar ye tanhaai,
Ye raat aur ye jangal dua kiye jaayen..
Bahaal ho ke rahegi faza-e-khitta-e-khair,
Ye habs hoga moattal dua kiye jaayen..
Guzishtagaan-e-mohabbat ke khwab ki saugand,
Wo khwab hoga mukammal dua kiye jaayen..
Hawa e sarkash o saffaak ke muqaabil bhi,
Ye dil bujhenge na mish'al dua kiye jaayen..
Ghubaar udaati jhulasti hui zameenon par,
Umand ke aayenge baadal dua kiye jaayen..
Qubool hona muqaddar hai harf-e-khaalis ka,
Har ek aan har ek pal dua kiye jaayen.!!
"Iftikhaar Arif"
___________
Baab-e-muqaffal = locked door,
Faza-e-khitta-e-khair = weather, atmosphere of region of wellbeing,
Habs = suffocation,
Moattal = suspended, fired,
Guzishtagaan-e-mohabbat = predecessors of love,
Sarkash = refractory, rebellious,
Saffaak = cruel, tyrant,
Harf-e-khaalis = pure word,
No comments:
Post a Comment