Us rauunat se wo jeete hain ke marna hi nahin,
Takht par baithe hain yun jaise utarna hi nahin..
Yoon maah-o-anjum ki waadi mein ude phirte hain wo,
Khaak ke zarron pe jaise paanw dharna hi nahin..
Un ka daawa hai ke suraj bhi unhi ka hai ghulaam,
Shab jo hum par aai hai us ko guzarna hi nahin..
Kya ilaaj us ka agar ho muddaa un ka yahi,
Ahtimaam rang-o-bu gulshan mein karna hi nahin..
Zulm se hain barsar-e-paikar aazadi-pasand,
Un pahaadon mein jahaan par koi jharna hi nahin..
Dil bhi un ke hain siyah khuraak-e-zindaan ki tarah,
Un se apna ghum bayaan ab hum ko karna hi nahin..
Intiha kar lein sitam ki log abhi hain khwab mein,
Jaag utthe jab log to un ko theharna hi nahin.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment