Padta tha is khyaal ka saya yahin kahin,
Bahta tha mere khwab ka dariya yahin kahin..
Jaane kahaan hai aaj magar pichhli dhoop mein,
Dekha tha ek abr ka tukDa yahin kahin..
Dekho yahin pe hongi tamanna ki kirchiyan,
Toota tha aitibaar ka shisha yahin kahin..
Kankar utha ke dekh raha hun ke ek din,
Rakkha tha main ne dil ka nageena yahin kahin..
Ek roz be-khyaali mein barbaad ho gayi,
Aabaad thi khyaal ki duniya yahin kahin..!!
"Inam Nadeem"
No comments:
Post a Comment