Mere khuda mujhe itna to mo'atabar kar de,
Main jis makaan mein rahta hun us ko ghar kar de..
Ye raushni ke ta'aqub mein bhagta hua din,
Jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de..
Main zindagi ki dua maangne laga hun bahut,
Jo ho sake to duaon ko be-asar kar de..
Sitara-e-sahri doobne ko aaya hai,
Zara koi mere suraj ko ba-khabar kar de..
Qabeela-waar kamaanein kadakne waali hain,
Mere lahu ki gawahi mujhe nidarr kar de..
Main apne khwab se kat kar jiyun to mera khuda,
Ujaad de meri mitti ko dar-ba-dar kar de..
Meri zameen mera aakhiri hawala hai,
So main rahun na rahun is ko baarwar kar de.!!
"Iftikhaar Arif"
__________
Baarwar = fruitful, producing or having fruit,
No comments:
Post a Comment