Saturday, June 2, 2018

Mahtaab Sifat Log Yahaan Khaak-basar Hain

Mahtaab-sifat log yahaan khaak-basar hain,
Hum mahw-e-tamasha-e-sar-e-rahguzar hain..

Hasrat si barasti hai dar-o-baam pe har su,
Roti hui galiyaan hain sisakte hue ghar hain..

Aaye the yahaan jin ke tasawwur ke sahaare,
Wo chaand wo suraj wo shab-o-roz kidhar hain..

Soye ho ghani zulf ke saaye mein abhi tak,
Ai raah-rawaa'n kya yahi andaaz-e-safar hain..

Wo log qadam jin ke liye kahkashan ne,
Wo log bhi ai hum-nafaso hum se bashar hain..

Bik jaayen jo har shakhs ke haathon sar-e-bazaar,
Hum yusuf-e-kanaan hain na hum laal-o-gauhar hain..

Hum log milenge to mohabbat se milenge,
Hum nuzhat-e-mahtaab hain hum noor-e-sahar hain.!!

"Habeeb Jalib"
__________

Nuzhat-e-mahtaab = delight of moon,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...