Khwab aankhon se zabaan se har kahani le gaya,
Mukhtasar ye hai wo meri zindagaani le gaya..
Phool se mausam ki barsaatein hawaon ki mahak,
Ab ke mausam ki wo sab shaamein suhani le gaya..
De gaya mujh ko saraabon ka sukoot-e-mustaqil,
Mere ashkon se wo dariya ki rawaani le gaya..
Khaak ab udne lagi maidaan sahra ho gaye,
Ret ka tufaan dariyaon se paani le gaya..
Kaun pahchanega 'Zareen' mujh ko itni bheed mein,
Mere chehre se wo apni har nishaani le gaya.!!
"Iffat Zareen"
No comments:
Post a Comment