Friday, June 8, 2018

Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai

Khwaab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai,
Aisi tanhaai ke mar jaane ko ji chahta hai..

Ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun,
Shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai..

Doob jaaun to koi mauj nishaan tak na bataye,
Aisi naddi mein utar jaane ko ji chahta hai..

Kabhi mil jaaye to raste ki thakan jaag pade,
Aisi manzil se guzar jaane ko ji chahta hai..

Wahi paimaan jo kabhi ji ko khush aaya tha bahut,
Usi paimaan se mukar jaane ko ji chahta hai.!!

"Iftikhaar Arif"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...