Kal zaroor aaoge lekin aaj kya karun,
Badh raha hai qalb ka ikhtilaaj kya karun..
Kya karun koi nahin ehtiyaaj dost ko,
Aur mujh ko dost ki ehtiyaaj kya karun..
Ab wo fikrmand hain kah diya tabeeb ne,
Ishq hai junoon nahin main ilaaj kya karun..
Ghairat-e-raqeeb ka shikwa kar rahe ho tum,
Is muaamle mein sakht hai mizaaj kya karun..
Ma-siwa-e-aashiqi aur kuchh kiya bhi ho,
Soojhta hi kuchh nahin kaam-kaaj kya karun..
Mahw-e-kaar-e-den hun main boriya-nasheen hun main,
Rahzan nahin hun main takht-o-taaj kya karun..
Zor aur zar baghair ishq kya karun 'Hafeez',
Chal gaya hai mulk mein ye riwaaj kya karun.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Ikhtilaaj = palpitation,
Ahtiyaaj = want, scarcity,
No comments:
Post a Comment