'Insha' ji utho ab kuch karo is shahar mein ji ko lagana kya,
Wahshi ko sukoon se kya matlab jogi ka nagar mein thikana kya..
Is dil ke dareeda daaman ko dekho to sahi socho to sahi,
Jis jholi mein sau chhed hue us jholi ka phailana kya..
Shab beeti chaand bhi doob chala zanjeer padi darwaze mein,
Kyun der gaye ghar aaye ho sajni se karoge bahana kya..
Phir hijr ki lambi raat miyaan sanjog ki to yahi ek ghadi,
Jo dil mein hai lab par aane do sharmana kya ghabrana kya..
Us roz jo un ko dekha hai ab khwab ka aalam lagta hai,
Us roz jo un se baat hui wo baat bhi thi afsana kya..
Us husn ke sachche moti ko hum dekh sakein par chhu na sakein,
Jise dekh sakein par chhu na sakein wo daulat kya wo khazana kya..
Us ko bhi jala dukhte hue man ek shoala laal bhabuka ban,
Yoon aansu ban bah jaana kya yoon maati mein mil jaana kya..
Jab shahar ke log na rasta dein kyun ban mein na ja bisraam kare,
Deewanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya.!!
"Ibn E Insha"
No comments:
Post a Comment