Monday, June 18, 2018

Hawa Bahut Hai Mata-e-safar Sambhaal Ke Rakh

Hawa bahut hai mata-e-safar sambhaal ke rakh,
Dareeda chaadar-e-jaan hai magar sambhaal ke rakh..

Phir us ke baad to qadrein inhin pe utthengi,
Kuchh aur roz ye deewar-o-dar sambhaal ke rakh..

Abhi udaan ke sau imtihaan baaqi hain,
In aandhiyon mein zara baal-o-par sambhaal ke rakh..

Ye ahd kaanp raha hai zameen ke andar tak,
Tu apna haath bhi deewar par sambhaal ke rakh..

Padhenge log inhin mein kahaniyan teri, 
Juchh aur roz ye daaman-e-tar sambhaal ke rakh..

Hawa ke ek hi jhonke ki der hai 'Qaisar',
Kisi bhi taaq pe shaam-e-sahar sambhaal ke rakh.!!

"Qaisar-ul-jafri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...