Monday, June 11, 2018

Ganwaai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Main Ne

Ganwaai kis ki tamanna mein zindagi main ne,
Wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne..

Tera khyal to hai par tera wajood nahin,
Tere liye to ye mahfil sajaai thi main ne..

Tere adam ko gawara na tha wajood mera,
So apni bekh-kuni ki kami na ki main ne..

Hain meri zaat se mansoob sad fasana-e-ishq,
Aur ek satr bhi ab tak nahin likhi main ne.. 

Khud apne ishwa-o-andaaz ka shaheed hun main,
Khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne..

Mere hareef meri yakka-taaziyon pe nisaar,
Tamaam umr haleefo'n se jang ki main ne..

Kharaash-e-naghma se seena chhila hua hai mera,
Fughaa'n ke tark na ki naghma-parwari main ne..

Dawa se faayeda maqsood tha hi kab ke faqat,
Dawa ke shauq mein sehat tabah ki main ne..

Zabana-zan tha jigar-soz tishnagi ka azaab,
So jauf-e-seena mein dozakh undel li main ne..

Suroor-e-may pe bhi ghaalib raha shaoor mera,
Ke har riaayat-e-ghum zehn mein rakhi main ne..

Ghum-e-shaoor koi dam to mujh ko mohlat de,
Tamaam umr jalaya hai apna ji main ne..

ilaaj ye hai ke majboor kar diya jaaun,
Wagarna yoon to kisi ki nahin suni main ne..

Raha main shaahid-e-tanha nasheen-e-masnad-e-ghum,
Aur apne karb-e-ana se gharaz rakhi main ne.!!

"Jaun Eliya"
__________

Adam = nonexistence, negation, nothing, life after death,
Bekh-kuni = sowing seeds,
Hareef = rival/ opponent,
Yakka-taaziyon = readying fresh carriage,
Haleefo'n = friends,
Kharaash-e-naghma = bruise of song, melody,
Naghma-parwari = development of songs,
Zabana-zan = ladies language, feminine conversation,
Jigar-soz = most troublesome, tormenting,
Jauf-e-seena = a hollow, vacancy, cavity, concavity; inside, interior of heart,
Riaayat-e-ghum = confession of grief,
Shaahid-e-tanha = only witness,
Nasheen-e-masnad-e-ghum = one sitting on chair of sorrow,
Karb-e-ana = agony of ego,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...