Monday, June 11, 2018

Ek Zakhm Bhi Yaraan-e-bismil Nahin Aane Ka

Ek zakhm bhi yaraan-e-bismil nahin aane ka,
Maqtal mein pade rahiye qaatil nahin aane ka..

Ab kuch karo yaaro sahra se ke sunte hain,
Sahra mein ab aainda mahmil nahin aane ka..

Waaiz ko kharaabe mein ek daawat-e-haq di thi,
Main jaan raha tha wo jaahil nahin aane ka..

Buniyaad-e-jahaan pahle jo thi wahi ab bhi hai,
Yoon hashr to yaraan-e-yak-dil nahin aane ka..

But hai ke khuda hai wo maana hai na maanunga,
Us shokh se jab tak main khud mil nahin aane ka..

Gar dil ki ye mahfil hai kharcha bhi ho phir dil ka,
Baahar se to samaan-e-mahfil nahin aane ka.

Wo naaf pyale se sarmast kare warna,
Ho ke main kabhi us ka qaail nahin aane ka.!!

"Jaun Eliya"
__________

Yaraan-e-bismil = friends of adj. Sacrificed, slaughtered,
Mahmil = saddle of camel,
a litter carried on a camel,
Yaraan-e-yak-dil = one-hearted, with similar tastes, unanimous friends,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...