Tuesday, June 5, 2018

Duniya Luti To Door Se Takta Hi Rah Gaya

Duniya luti to door se takta hi rah gaya,
Aankhon mein ghar ke khwab ka naqsha hi rah gaya..

Us ke badan ka loch tha dariya ki mauj mein,
Saahil se main bahao ko takta hi rah gaya..

Duniya bahut qareeb se uth kar chali gayi,
Baitha main apne ghar mein akela hi rah gaya..

Wo apna aks bhool ke jaane laga to main, 
Aawaz de ke us ko bulata hi rah gaya..

Humrah us ke saari bahaarein chali gayin,
Meri zabaqn pe phoil ka charcha hi rah gaya..

Kuchh is ada se aa ke mila hum se 'Ashk' wo,
Aankhon mein jazb ho ke sarapa hi rah gaya.!!

"Ibrahim Ashk"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...