* Nazm *
__________
Chandni raat hai jawaani par..
Dast-e-gardoon mein saaghar-e-mahtab,
Noor ban ban ke chhan rahi hai sharaab..
Saaqi-e-aasmaan pyaala-ba-dast,
Main sharaab-e-suroor se sarmast..
Fikr-e-dozakh na zikr-e-jannat hai,
Main hun aur teri pyaari surat hai..
Ras bhare honth mad bhari aankhein.!
Kaun farda pe aitibaar kare,
Kaun jannat ka intizaar kare..
Jaane kab maut ka payaam aaye,
Ye masarrat bhi hum se chhin jaaye..
Daaman-e-aql chaak hone de,
Aaj ye qissa paak hone de..
Ghum ko na-payedaar kar dein hum,
Maut ko sharmsaar kar dein hum..
Lab se lab yoon milein ke kho jaayen,
Jazb ek doosre mein ho jaayen..
Main rahoon aur na tu rahe baaqi.!
Kis qadar dil-nasheen hain lab tere,
Baada-e-ahmareen hain lab tere..
Tere honthon ka ras nahin hai ye,
Aab-e-kausar hai angbeen hai ye..
Shahad ke ghoont pi raha hun main,
Aaj ki raat ji raha hun main..
Aaj ki raat phir na aayegi.!!
"Hafeez Hoshiyarpuri"
__________
Dast-e-gardoon = hand, power; purge of heavens,
Na-payedaar = unstable, frail, transitory, not durable,
Baada-e-ahmareen = red wine,
Aab-e-kausar = river kausar flowing in Paradise,
Angbeen = honey,
No comments:
Post a Comment