Zameen di hai to thoda sa aasman bhi de,
Mere khuda mere hone ka kuchh gumaan bhi de,
Bana ke but mujhe binaai ka azaab na de,
Ye hi azaab hai qismat to phir zabaan bhi de,
Ye kaayenat ka phailaaw to bahut kam hai,
Jahaan sama sake tanhaai wo makaan bhi de,
Main apne aap se kab tak kiya karun baatein,
Meri zabaan ko bhi koi tarjumaan bhi de,
Falak ko chaand-sitaare nawaazne waale,
Mujhe charaagh jalaane ko sayebaan bhi de.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment