Sunday, May 6, 2018

Zakhm-e-dil Par Bahaar Dekha Hai

Zakhm-e-dil par bahaar dekha hai,
Kya ajab laala-zaar dekha hai,

Jin ke daaman mein kuchh nahin hota,
Un ke seenon mein pyaar dekha hai,

Khaak udti hai teri galiyon mein,
Zindagi ka waqaar dekha hai,

Tishnagi hai sadaf ke honthon par,
Gul ka seena figaar dekha hai,

Saqiya! Ahtimam-e-baada kar,
Waqt ko sogwaar dekha hai,

Jazba-e-ghum ki khair ho 'Saghar',
Hasraton par nikhaar dekha hai.!!

"Saghar Siddiqui"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...