Udaasi aasman hai dil mera kitna akela hai,
Parinda shaam ke pul par bahut khamosh baitha hai,
Main jab so jaaun in aankhon pe apne honth rakh dena,
Yaqeen aa jayega palkon tale bhi dil dhadakta hai,
Tumhaare shahar ke saare diye to so gaye kab ke,
Hawa se poochhna dahleez pe ye kaun jalta hai,
Agar fursat mile paani ki tahreeron ko padh lena,
Har ek dariya hazaaron saal ka afsana likhta hai,
Kabhi main apne haathon ki lakeeron se nahin uljha,
Mujhe maloom hai qismat ka likkha bhi badalta hai..!!
"Basheer Badr"
No comments:
Post a Comment