Tujh se badh kar koi pyara bhi nahin ho sakta,
Par tera saath gawara bhi nahin ho sakta,
Raasta bhi ghalat ho sakta hai manzil bhi ghalat,
Har sitara to sitara bhi nahin ho sakta,
Paanw rakhte hi phisal sakta hai mitti ho ke ret,
Har kinara to kinara bhi nahin ho sakta,
Us tak aawaaz pahunchni bhi badi mushkil hai,
Aur na dekhe to ishaara bhi nahin ho sakta,
Tere bandon ki maeeshat ka ajab haal hua,
Aish kaisa ke guzara bhi nahin ho sakta,
Apna dushman hi dikhaai nahin deta ho jise,
Aisa lashkar to saf-aara bhi nahin ho sakta,
Pahle hi lazzat-e-inkaar se waaqif nahin jo,
Us se inkaar dobara bhi nahin ho sakta,
Husn aisa ke chaka-chaund hui hain aankhein,
Hairat aisi ke nazzara bhi nahin ho sakta,
Chaliye wo shakhs humara to kabhi tha hi nahin,
Dukh to ye hai ki tumhaara bhi nahin ho sakta,
Duniya achchhi bhi nahin lagti hum aison ko 'Salim',
Aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta.!!
"Saleem Kausar"
No comments:
Post a Comment