Sunday, May 6, 2018

Tera Naseeb Banun Teri Chahaton Mein Rahun

Tera naseeb banun teri chahaton mein rahun,
Tamam umr mohabbat ki wahshaton mein rahun,

Khumaar hasrat-e-deedar mein rahun har dam,
Sawaad-e-ishq yunhi teri shiddaton mein rahun,

Ye zindagi ki haraarat tere sabab se hai,
Main lamha lamha junoon ki tamazaton mein rahun,

Ye ahtimaam-e-shab-o-roz ho meri khaatir,
Tere khyaal ki rangeen khalwaton mein rahun,

Sanwaarti hain sada jis ki chahatein mujh ko,
Meri dua hai ki main us ki hasraton mein rahun,

Ai abr-e-wasl baras aur khul ke mujh pe baras,
Main bheegi bheegi hawa ki shararaton mein rahun,

Shareek-e-shauq-e-safar hai agar wo mera "Naaz", 
Main kyun na mausam-e-gul ki bashaaraton mein rahun.!!

"Naaz Butt"
___
Sawaad-e-ishq = environs/conditions of love,
Tamazaton = heat,
Ahtimaam-e-shab-o-roz = management of night and day,
Khalwaton = in isolation, solitary, privacy, to meet privately,
Shareek-e-shauq-e-safar = companion in hobby of travelling,
Bashaaraton = Good news, glad tidings, joyful annunciations made to one in sleep or in a vision by some saint; happy dreams or visions; divine,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...