Taaron se mera jaam bharo main nashe mein hun,
Ai sakinaan-e-khuld suno main nashe mein hun,
Kuchh phool khil rahe hain sar-e-shaakh-e-may'kada,
Tum hi zara ye phool chuno main nashe mein hun,
Thehro abhi to subah ka maara hai zau-fishaa'n,
Dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun,
Nashsha to maut hai ghum-e-hasti ki dhoop mein,
Bikhra ke zulf saath chalo main nashe mein hun,
Mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzaar-e-zeest,
Ab jaam saamne hi rakho main nashe mein hun,
Paayel chhanak rahi hai nigaar-e-khyaal ki,
Kuchh ahtimaam-e-raqs karo main nashe mein hun,
Main dagmaga raha hun bayabaan-e-hosh mein,
Mere abhi qareeb raho main nashe mein hun,
Hai sirf ek tabassum-e-rangeen bahut mujhe,
'Saghar' ba-dosh laala-rukho main nashe mein hun.!!
"Saghar Siddiqui"
No comments:
Post a Comment