Shoala-e-gul gulaab shoala kya,
Aag aur phool ka ye rishta kya,
Tum meri zindagi ho ye sach hai,
Zindagi ka magar bharosa kya,
Kitni sadiyon ki qismaton ka main,
Koi samjhe bisaat-e-lamha kya,
Jo na aadab-e-dushmani jaane,
Dosti ka use saleeqa kya,
Kaam ki poochhte ho gar saahab,
Aashiqi ke alawa pesha kya,
Baat matlab ki sab samajhte hain,
Saahab-e-nashsha gharq-e-baada kya,
Dil-dukhon ko sabhi sataate hain,
Sheyr kya geet kya fasaana kya,
Sab hain kirdaar ek kahaani ke,
Warna shaitaan kya farishta kya,
Din haqeeqat ka ek jalwa hai,
Raat bhi hai usi ka parda kya,
Tu ne mujh se koi sawaal kiya,
Karwaan-e-hayat-e-rafta kya,
Jaan kar hum "Bashir Badr" hue,
Is mein taqdeer ka nawishta kya.!!
"Basheer Badr"
___
Shoala-e-gul = flame of flower,
Nawishta = written , inscribed,
No comments:
Post a Comment