Saturday, May 5, 2018

Sar Jhukaoge To Patthar Dewta Ho Jayega

Sar jhukaoge to patthar dewta ho jayega,
Itna mat chaaho use wo bewafa ho jayega,

Hum bhi dariya hain humein apna hunar maloom hai,
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jayega,

Kitni sachchaai se mujh se zindagi ne kah diya,
Tu nahin mera to koi doosra ho jayega,

Main khuda ka naam le kar pi raha hun dosto,
Zahar bhi is mein agar hoga dawa ho jayega,

Sab usi ke hain hawa khushbu zameen o aasman,
Main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jayega..!!

"Basheer Badr"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...