Rah jaaye ya bala se ye jaan rah na jaaye,
Tera to ai sitam-gar armaan rah na jaaye,
Jo dil ki hasratein hain sab dil mein hon to behtar,
Is ghar se koi baahar mehmaan rah na jaaye,
Iqraar-e-wasl to hai aisa na ho na aayen,
Mushkil humari ho kar aasaan rah na jaaye,
Ai soz-e-gham jala de ai dard khoon rula de,
Kuchh un ki dil-lagi ka samaan rah na jaaye,
Sab manzilein huyin tay mahshar hai aur ai dil,
Ye ek rah gaya hai maidaan rah na jaaye,
Wo jaam-e-kufr-parwar bhar de ke mast kar de,
Masto'n ke dil mein saaqi imaan rah na jaaye,
Aa kar palat na khaali ai marg jaan le ja,
'Faani' ke sar pe tera ahsaan rah na jaaye.!!
"Faani Badayuni"
No comments:
Post a Comment