Na ibtida ki khabar hai na intiha maloom,
Raha ye wahm ke hum hain so wo bhi kya maloom,
Dua to khair dua se ummid-e-khair bhi hai,
Ye muddaa hai to anjaam-e-muddaa maloom,
Hua na raaz-e-raza faash wo to ye kahiye,
Mere naseeb mein thi warna saii-e-na-maloom,
Meri wafa ke siwa ghayat-e-jafa kyun ho,
Teri jafa ke siwa haasil-e-wafa maloom,
Kuchh un ke raham pe thi yun hi zindagi mauqoof,
Ke un ko raaz-e-mohabbat bhi ho gaya maloom,
Tere khyal ke asraar be-khudi mein khule,
Humin chhupa na sake warna dil ko kya maloom,
Fareb-e-aman mein kuchh maslahat to hai warna,
Sukoon-e-kashti o taufeeq-e-nakhuda maloom,
Wo iltifaat ke tha us ki intiha bhi hai,
Khuda ki maar ke dil ko yahi na tha maloom,
Ye zindagi ki hai rudad-e-mukhtasar 'Faani',
Wajood-e-dard musallam ilaaj na-maloom.!!
"Faani Badayuni"
__________
Raaz-e-raza = secret of agreement,
Saii-e-na-maloom = unknown effort,
Ghayat-e-jafa = purpose of rigidness,
Mauqoof = depend upon,
Asraar = Secrets,
Iltifaat = kindness/ attention,
No comments:
Post a Comment