Sunday, May 13, 2018

Lau Ko Chhoone Ki Hawas Mein Ek Chehra Jal Gaya

Lau ko chhoone ki hawas mein ek chehra jal gaya,
Shama ke itne qareeb aaya ke saya jal gaya,

Pyaas ki shiddat thi sairaabi mein sahra ki tarah,
Wo badan paani mein kya utra ke dariya jal gaya,

Kya ajab kaar-e-tahayyur hai supurd-e-naar-e-ishq,
Ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya,

Garmi-e-deedar aisi thi tamasha-gah mein,
Dekhne waalon ki aankhon mein tamasha jal gaya,

Khud hi Khakistar kiya us ne mujhe aur us ke baad,
Mujh se khud hi poochhta hai bol kya kya jal gaya,

Sirf yaad-e-yaar baqi rah gayi dil mein 'Salim',
Ek ek kar ke sabhi asbaab-e-duniya jal gaya.!!

"Saleem Kausar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...