Monday, May 28, 2018

Kya Chhupate Kisi Se Haal Apna

Kya chhupate kisi se haal apna,
Ji hi jab ho gaya nidhhaal apna,

Hum hain us ke khyaal ki tasveer,
Jis ki tasveer hai khyaal apna,

Wo bhi ab ghum ko ghum samajhte hain,
Door pahuncha magar malaal apna,

Tu ne rakh li gunahgaar ki sharm,
Kaam aaya na infiaal apna,

Dekh dil ki zameen larazti hai,
Yaad-e-jaanaa qadam sambhaal apna,

Ba-khabar hain wo sab ki haalat se,
Laao hum poochh lein na haal apna,

Maut bhi to na mil saki 'Faani',
Kis se poora hua sawaal apna.!!

"Faani Badayuni"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...