Kuchh is ada se humein ghum-gusaar milte hain,
Hazaar zakhm pas-e-aitibaar milte hain,
Shab-e-firaaq ki wahshat na poochhiye hum se,
Hum apne hijr se deewana-waar milte hain,
Ye shahar-e-zakhm-faroshaan hai haaye kya kijiye,
Ke pa-e-gul bhi yahaan khaar khaar milte hain,
Wo jin ki kokh mein shauq-e-khirad panapta hai,
Wo walwale bhi junoon ka shikaar milte hain,
Saja ke rakhte hain jin ko chamak ki khwahish mein,
Wo aaine bhi humein daagh-daar milte hain,
Humein unhi se tawaqqo hai "Naaz" manzil ki,
Jo raaste humein ban kar ghubaar milte hain..!!
"Naaz Butt"
___
Shauq-e-khirad = desire for rationality/wisdom
No comments:
Post a Comment