Khulegi us nazar pe chashm-e-tar
aahista aahista,
Kiya jata hai paani main safar
aahista aahista,
Koi zanjeer phir wapas wahin par
le ke ati hai,
Kathin ho raah to chut'ta hai ghar
aahista aahista,
Badal dena hai rasta ya kahin par
baith jaana hai,
Ke thakta ja raha hai hamsafar
aahista aahista,
Khalish ke saath is dil se na meri
jaan nikal jaaye,
Kheenchey teer-e-shanasayi magar
aahista aahista,
Hawaa se sar-kashi main phool ka
apna ziyaa'n dekha,
So jhukta ja raha hai ab yeh sar
aahista aahista..!!
- Parween Shakir
___
Ziyaa'n- loss, damage, injury,
No comments:
Post a Comment