Kahaan aansuon ki ye saughaat hogi,
Naye log honge nayi baat hogi,
Main har haal mein muskuraata rahunga,
Tumhaari mohabbat agar saath hogi,
Charaghon ko aankhon mein mahfooz rakhna,
Badi door tak raat hi raat hogi,
Pareshan ho tum bhi pareshan hun main bhi,
Chalo may-kade mein wahin baat hogi,
Charaghon ki lau se sitaron ki zau tak,
Tumhein main milunga jahaan raat hogi,
Jahaan wadiyon mein naye phool aaye,
Humari tumhaari mulaqaat hogi,
Sadaaon ko alfaaz milne na paayen,
Na baadal ghirenge na barsaat hogi,
Musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi,
Kisi mod par phir mulaqaat hogi..!!
"Basheer Badr"
___
Saughaat = costly present, rarity, curiosity,
Zau = light, sunlight, glow,
No comments:
Post a Comment