Sunday, May 13, 2018

Kabhi Sitaare Kabhi Kahkashaan Bulata Hai

Kabhi sitaare kabhi kahkashaan bulata hai,
Humein wo bazm mein apni kahaan bulata hai,

Na jaane kaun si uftaad aa padi hai ke jo,
Hum ahl-e-ishq ko kaar-e-jahaan bulata hai,

Ye kaisa dam-e-rihaai bichha diya us ne,
Zameen pakadti hai aur aasman bulata hai,

Gali gali mein aqeedon bhari dukaanein hain,
Qadam qadam pe naya aastaan bulata hai,

Bhatak gaye hain magar gum nahin hue hain kahin,
Abhi humein jaras-e-karwaan bulata hai,

Ye aag lagne se pahle ki baaz-gasht hai jo,
Bujhaane waalon ko ab tak dhuan bulata hai,

Ummeed tootne lagti hai jab bhi koi 'Salim',
To ek yaqeen pas-e-wahm-o-gumaan bulata hai.!!

"Saleem Kausar"
___
Uftaad = accident, distress, calamity, difficulties,
Daam-e-rihaai = chain of release,
Aqeedon = beliefs,
Aastaan = abode, threshold, shrine,
Jaras-e-karwaan = sound of caravan,
Baaz-gasht = turning back, returning, return, retreat,
Pas-e-wahm-o-gumaan = beyong whims and imagination, fancy,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...