Kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se,
Wo aazmaaish dil o nazar ki wo qurbatein si wo faasle se..
Kabhi kabhi aarzu ke sahra mein aa ke rukte hain qaafile se,
Wo saari baatein lagaaw ki si wo saare unwaan wisaal ke se..
Nigaah o dil ko qaraar kaisa nashaat o ghum mein kami kahaan ki,
Wo jab mile hain to un se har baar ki hai ulfat naye sire se,
Bahut giraa'n hai ye aish-e-tanha kahin subuk-tar kahin gawara,
Wo dard-e-pinhaa'n ki sarai duniya rafeeq thi jis ke waaste se..
Tumhin kaho rind o mohtasib mein hai aaj shab kaun farq aisa,
Ye aa ke baithe hain may-kade mein wo uth ke aaye hain may-kade se..!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment