Jagaa Sakey Na Terey Lab, Lakeer Aisi Thi,
Humarey Bakht Ki Rekha Bhi Meer Aisi Thi,
Ye Haath Choomey Gai, Phir Bhi Be-Gulaab Rahey,
Jo Rutt Bhi Aai Khizaa'n Ke Safeer Aisi Thi,
Wo Merey Paao'n Ko Chhooney Jhuka Tha Jis Lamhey,
Jo Mangta Usey Deti Ameer Aisi Thi,
Shahadatain Merey Huq Main Tamaam Jaati Thin,
Magar Khamosh They Munsif, Nazeer Aisi Thi,
Kutar K Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair,
Tamaam Umr Na Urti Aseer Aisi Thi,
Phir Us Ke Baad Na Dekhey Wisaal Ke Mausam,
Judaaiyo'n Ki Ghadi Chashm-Geer Aisi Thi,
Bas Ik Nigah Mujhe Dekhta, Chala Jata, Us Aadmi Ki Mohabbat Faqeer Aisi thi,
Rida K Saath Luterey Ko Zaad-e-Raah
Diya,
Teri Firagh-Dili Merey Veer Aisi Thi,
Kabhi Na Chahney Walo'n Ka Khoo'n-Baha Maangaz
Nigaar-e-Shahar-e-Sukhan Be-Zameer
Aisi Thi..!!
- Parween Shakir
__________
Nazeer = example, instance, precedent, equal to,
Bakht = Destiny, Luck
Safeer = Messenger, envoy, ambassador; mediator,
Aseer = prisoner, captive,
Chashm-Geer = attractive eyes, attractive to eyes,
Ridaa = cloak put on by women when going out
Zaad-e-Raah = provisions for journey,
Faraakh-Dili = generosity,
Khoo'n-Baha = compensation for killing/ murder,
Nigaar-e-Sheher-e-Sukhan = picture of the city of poetry,
No comments:
Post a Comment