Thursday, May 3, 2018

Jab Tak Nigaar-e-daasht Ka Seena Dukha Na Tha

Jab tak nigaar-e-daasht ka seena dukha na tha,
Sahra mein koi laala-e-sahra khila na tha,

Do jheelein us ki aankhon mein lahra ke so gayin,
Us waqt meri umr ka dariya chadha na tha,

Jaagi na thin naso'n mein tamanna ki naaginein,
Us gandumi sharaab ko jab tak chakha na tha,

Dhundha karo jahaan-e-tahayyur mein umr bhar,
Wo chalti phirti chhanw hai main ne kaha na tha,

Ek bewafa ke saamne aansu bahaate hum,
Itna humaari aankh ka paani mara na tha,

Wo kaale honth jaam samajh kar chadha gaye,
Wo aab jis se main ne wuzu tak kiya na tha,

Sab log apne apne khudaaon ko laaye the,
Ek hum aise the ke humara khuda na tha,

Wo kaali aankhein shahar mein mashhoor thin bahut,
Tab un pe mote sheeshon ka chashma chadha na tha,

Main saahib-e-ghazal tha haseenon ki bazm mein,
Sar par ghanere baal the maatha khula na tha.!!

"Basheer Badr"
___
Nigaar-e-daasht = taking care of, keeping, care, patronage of paintings,
Jahaan-e-tahayyur = world of wonder,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...