Itna yaqeen rakh ke gumaa'n baaqi rahe,
Ek zara kaar-e-jahaa'n baaqi rahe,
Baaqi rahe yaadon ki ek qaus-e-quzah,
Yaani meri ja-e-amaa'n baaqi rahe,
Shorish-e-khoo'n raqs-e-junoo'n khatm na ho,
Qahqaha-e-hum-nafasaa'n baaqi rahe,
Aata rahe yun hi sada mausam-e-gul,
Silsila-e-dil-zadagaa'n baaqi rahe,
Qaafla-e-ghum guzraa'n ki bhi suna,
Hausla-e-hum-safaraa'n baaqi rahe,
Qaid-e-qafas shor-e-nafas kis ke liye,
Kis ke liye rishta-e-jaa'n baaqi rahe,
Aankhon se chhin jaayen ek ek khwab magar,
Us ki talab dil ka dhuaan baaqi rahe.!!
"Abdullah Kamal"
__________
Qaus-e-quzah = rainbow,
Ja-e-amaa'n = place of refuge,
Shorish-e-khoo'n = tumult of blood,
Qahqaha-e-hum-nafasaa'n = laughter of fellow companions,
Silsila-e-dil-zadagaa'n = chain of thosewho are heart afflicted,
Qaafla-e-ghum = caravan of sorrow,
Guzraa'n = passages,
Hausla-e-hum-safaraa'n = courage of fellow travellers,
No comments:
Post a Comment