Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hoon,
Abhi Teri Daastan Mein Gum Hoon...
Mein Dekh Sakti Hoon Doston Ko,
Magar Saf-e-Dushmanan Mein Gum Hoon...
Badan Ka Apna azaab Hai Aur,
Isi Azaab-e-Ziaan Mein Gum Hoon...
Ye Log Ghar Kah Rahe Hain Jis Ko,
Main Ek Aise Makaan Mein Gum Hoon...
Kahaan Wo Lazzat Musaafaton Ki,
Main Manzilon Ke Nishaan Mein Gum Hoon...
Khabar Nahi Mauj-e-Dast-e-Jaan Ki,
Hawa Hoon Aur Baadbaan Mein Gum Hoon...
Abhi Kahaan Fursat-e-Mohabbat,
Abhi Main Kaar-e-Jahaan Mein Gum Hoon..!!
"Noshi Gilani"
No comments:
Post a Comment