Saturday, May 12, 2018

Har Taraf Har Jagah Be-shumaar Aadmi

Har taraf har jagah be-shumaar aadmi,
Phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi,

Subah se shaam tak bojh dhhota hua,
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi,

Har taraf bhaagte daudte raaste,
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi,

Roz jeeta hua roz marta hua,
Har naye din naya intizaar aadmi,

Ghar ki dahleez se gehun ke khet tak,
Chalta phirta koi karobaar aadmi,

Zindagi ka muqaddar safar-dar-safar,
Aakhiri saans tak be-qaraar aadmi.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...