Monday, May 14, 2018

Diwali

[ Nazm ]

Dar-o-deewar par chhaai hai udaasi ghum ki,
Mahw-e-hairat hai khushi deeda-e-hairaan ki tarah,

Koi jhonka koi aahat koi aawaaz nahin,
Raat viraan hai kisi shahr-e-khamoshaan ki tarah,

Din dhhale dekh liya tha koi udta baadal,
Kunmunati hai faza mausam-e-baraan ki tarah,

Door pardes ki raahon mein bhatakte raahi,
Dil mein phir yaad teri aai hai mehmaan ki tarah,

Wo sar-e-shaam dar-o-baam pe jalte deepak,
Kya meri tarah tujhe yaad nahin aate hain,

Raushni mein wo nahaye hue ujle manzar,
Kya nigaahon mein teri aaj bhi lahraate hain,

Kya wo beete hue pur-noor chahakte lamhe,
Aaj bhi dil mein tere geet koi gaate hain,

Kya tere khwaab ghum-e-haal ke viraane mein,
Ab bhi maazi ka fasana koi dohraate hain,

Wo ujaale jo teri tarah mujhe bhool gaye,
Door se ab meri fariyaad nahin sun sakte,

Dil ke taaron ko bahut jama kiya hai main ne,
Wo magar naghma-e-ahsaas nahin ban sakte,

Neri aawaz ko jazbaat ki deewar ke paar,
Sun to sakte hain magar sar ko nahin dhun sakte,

Main jo roun bhi to ye waqt ke andhe saathi,
Kisi bikhre hue moti ko nahin chun sakte,

Deep-maala ki ye bechain bilakti hui raat,
Us ke daaman mein mere ashk-e-rawaan palte hain,

Hum-safar koi nahin hai meri tanhaai ka,
Chand saaye hain jo humrah mere chalte hain,

Dabdabaai hui aankhon mein hai saawan ki jhadi,
Aur dil mein mere yaadon ke shajar palte hain,

Dekh main ne bhi manaai hai yahaan diwali,
Meri palkon pe bhi ashkon ke diye julte hain.!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...