Monday, May 21, 2018

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khadey Wo

Darwaza jo khola to nazar aaye
khadey woh,
Hairat hai mujhe, aaj kidhar bhool 
padey woh,

Bhoola nahin dil, hijr ke lamhaat 
kadey woh,
Raatein to barri theen hi, Magar din 
bhi badey woh

Kyun jaan pe ban aayi hai bigda hai 
agar woh,
Uss ki to yeh aadat ke hawaaon se 
ladey woh

Alfaaz they us ke ke bahaaron 
ke peyamaat,
Khushbuu si barasney lagi, yoon 
phool jhadey woh

Har shakhs mujhe tujhse juda karne 
ka hwa’haan,
Sun paaye agar ek to das ja ke 
jadey woh

Bachchey ki tarah chaand ko choonay 
ki tammana,
Dil ko koi shay de de to kya kya na
adey woh

Tufaan hai to kya ghum, mujhe 
aawaz to dijiye,
Kya bhool gaye aap mere kachay 
ghadey woh..!!

- Parween Shakir

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...