Chaman sa dasht ta-hadd-e-nazar kitna haseen hai,
Tu mera hum-qadam hai to safar kitna haseen hai,
Meri jaanib lapakti manzilon se poochh lena,
Kisi ke saath chalne ka hunar kitna haseen hai,
Wo mere saamne baitha hua hai mera ho kar,
Dua-e-neem-shab ka ye asar kitna haseen hai,
Zahe qismat ki saaye-daar bhi hai ba-samar bhi,
Mere sar par mohabbat ka shajar kitna haseen hai,
Ajab khwaab-aashna aankhein hui hain wasl ki shab,
Khuli hai aankh to rang-e-sahar kitna haseen hai,
Main hansti khelti hun jis ke khwaab na-rasa mein,
Mera ahsas-e-hasrat hai magar kitna haseen hai,
Nahin hai "Naaz" kam jannat se mera aashiyana,
Mohabbat se muzayyan mera ghar kitna haseen hai.!!
"Naaz Butt"
___
Muzayyan = adorned, decorated, embellished,
No comments:
Post a Comment