Chain ab mujh ko tah-e-daam to lene dete,
Tere fitne kahin aaram to lene dete,
Aap ne is ka tadapna bhi gawara na kiya,
Dil-e-muztar se koi kaam to lene dete,
Maut bhi bas mein nahin hai tere majbooron ki,
Zindagi mein koi ilzaam to lene dete,
Pal mein manzil pe uda laaye fana ke jhonke,
Lutf rah rah ke bahar-gaam to lene dete,
Haath bhi teri nigaahon ne uthane na diya,
Dil-e-betab zara thaam to lene dete,
'Saif' har bar ishaaron mein kiya us ko khitaab,
Log us but ka mujhe naam to lene dete.!!
"Saifuddin Saif"
__________
Tah-e-daam = inside the trap,
Bahar-gaam = shortness of breath in walking,
No comments:
Post a Comment