Chaandi jaisa rang hai tera sone jaise baal,
Ek tu hi dhanwaan hai gori baaqi sab kangaal,
Har aangan mein aaye tere ujle roop ki dhoop,
Chhail-chhabeli raani thoda ghunghat aur nikaal,
Bhar bhar nazrein dekhein tujh ko aate-jaate log,
Dekh tujhe badnaam na kar de ye hirni si chaal,
Kitni sundar naar ho koi main aawaz na doon,
Tujh sa jis ka naam nahin hai wo ji ka janjaal,
Saamne tu aaye to dhadkein mil kar laakhon dil,
Ab jaana dharti par kaise aate hain bhaunchaal,
Beech mein rang-mahal hai tera khaai chaaron or,
Hum se milne ki ab gori tu hi raah nikaal,
Kar sakte hain chah teri ab 'sarmad' ya 'mansoor',
Mile kisi ko daar yahaan aur khinche kisi ki khaal,
Ye duniya hai khud-gharzon ki lekin yaar 'Qateel',
Tu ne humara saath diya tu jiye hazaaron saal.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment