Sunday, May 20, 2018

Bila-jawaaz Rakhein Khud Ko Be-qaraar Bhi Kyun

Bila-jawaaz rakhein khud ko be-qaraar bhi kyun,
Jo tu nahin hai to phir tera intizaar bhi kyun..

Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai,
To phir ai waada-shikan teri rahguzaar bhi kyun..

Use ganwa ke raho ab khizaaon ki zad mein,
Jo wo nahin hai to phir mausam-e-bahaar bhi kyun..

Agar bhulaaye hue us ko ek umr hui,
To phir ye aaj tabiyat hai sogwaar bhi kyun..

Wo jin labo'n pe yaqeen-e-wafa mahak na sake,
Phir un ke lams ki khwahish ho ek baar bhi kyun..

Jab us ko shauq tha rasto'n ki dhhool hone ka,
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kyun..!! 

"Noshi Gilani"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...